Test Cricket ek esa format hein jaha player se bat se bada score karne ki expectations ke jaati hein. Crickt khelne wale har player ka yaha dream hota hein ki waha apne carrier mein most double centuries lagaye. Kyuki yaha cricketers ki class ko proof karta hein aur waha duniya ki kisi bhi condition mein acchi batting kar sakta hein. Test Cricketers ke history mein kai batsman aaye hein jinhone double century banai hein.
Aa humaapko world ke 5 ese batsman ke baare mein batayenge jinhone test match mein sabse jyada baar double century score ki hein. Test cricket ki baat kare to Australia ke legendary batsman Don Bradman ka zikr na ho ye to possible nahi. Test mein shayad hi esa koi record hoga jo sir ne apne naam na kiya ho. Ye cricket world ke ese player hein jinhone sabse jyada double centuries banai hein. Inke naam 12 double centuries hein.
Iss list mein dusra naam former Shri Lankan wicket-keeper batsman Kumar Sangakkara ka darj hein, Ye un Asian batsmans mein se ek hein jinhone test cricket mein sabse jyada centuries lagai hein. Unhone bahut saari double centuries lagai hein aur 11 double centuries apne naam ki. Thir number par hein tes cricket mein highest individual score ka record kayam karne wale former West Indies Captain Brain Lara jinhone apne 16 saal lambe international carrier mein 9 double centuries apne naam ki.
Fourth bumber par bahut ese kai naam hein jinhone double centuries score ki hein lekin top par England ke former batsman Wally Hammond ka naam hein jinhone kai badi-badi innings kheli hein aur 7 double centuries apne naam ki hein. 5th number par aate hein hum sabke chahite current Indian cricket star Virat Kohli jinhone apne 16 saal ke international carrier mein kai innings kheli hein. Iss doraan unhone bahut saare records apne naam kiye hein. Team India ke former captain Virat Kohli ne 7 double centuries banai hein.