AMD ya Macular Degeneration ek age-related condition he jo ki jada tar 50 se 60 saal ke bich ke logo ko effect karti hai. Ye bohot hi common condition or easily treatable bhi lekin kuch case me complete vision lose hone ki bhi reports lekin iski possibility bohot kam hoti he. AMD me hmara Macular damage hone lagta he, Macular eye ka wo part he jo hume din ke vakt ache se chizo ko dekhne me help karta he. Jb hum hamare aankho ki baat karte hai to uski heath sudharne ke liye hum jada kuch nahi kar sakte, only thing jo hamare hath me he wo he doctor ke pass regular check up k liye jana.
Lekin esa bilkul nahi hai haal hi me kuch studies conduct hhui jinme bataya gaya ke health of our eyes directly hamare micro nutrients ke intake par depend karti hai. Agar ek insan sare micro nutrients jo uski body ko jarurat hoti hai to usko eye related ya or koi health issues hone ke chances bohot kam hote he. Micronutrients jinme anti oxidant properties hoti h wo hmari eye me degenerative tissue ko develop hone se rok dete he jisse hmari aankho ki overall health bohot achi bni rehti he.
Agar aapko bhi aapki eye ko healthy rakhna he to aapko sirf apni diet me 3 vitamins ke source add karne he. Aapko ek balance diet leni jisme Vitamin A, C, and E present ho. Ye tino vitamins hamari eyes or body ki overall health ke liye boht important he. Aap ye tino vitamins easily consume kar sakte natural sources se, jese Vitamin A aapko dairy products, fish, or vegetables me mil jayega. Vitamin C aapko fruist me mil jayega jese ki orange, mango, and kiwi. Or vahi Vitamin E ke liye aap apni diet me sunflower seed, avocado, or tomatoes add kar sakte he.