Aaj kal ji generation full technology, video games aur social media se hi chal rahi hein. Jisse dekho waha apni preference ki chizo mein laga hua hein. Par in sab mein agar dekha jaaye to video games ki industry sabse growing industry hein. Yaha tak hi video games dashako mein ek bada behe ka kaaran bana hua hein. Kai log iske brain par negative impacts ke baare mein behes karte nazar aate hein. Par aapko bata de ki, haal hi ki research se pata chala hein ki daily maximum 3 hours video game brain ko positive roop se affect kar sakta hein.
To aaj hum inhi positive effects ke baare mein discus karenge jo ki hume video games khelne par mil sakte hein. Jab regular video game khelne wale adults par ek functional MRI Brain Imaging ki gayi, to yaha dikhaya gaya ki dhyan aur memory se joode brain ke regions nahi khelne wale adults ke compare mein behtar the. To chaliye hum aapko batate hein ki video games kese humare brain kar positively affect karte hein.
Video games sirf entertainment ke source nahi hote hein balki dhyaan, spatial-reasoning, decision-making, aur problem-solving jese cognitive skill bhi hote hein. To jo log regular basis par video games khelte hein wo time ke saath apni in skills ko bhi develop kar sakte hein. Video games khelne ke main advantages mein se ek hein social skill ko improve karna wo khaas kar ese games mein jaha team work jaruri hein. Iske saath saath hi yaha communication skill ko bhi badhane mein help karega.
Video games khelne wale baccho se joode research mein paaya gaya hein ki unke better social skills aur academic skills ki sambhavana hein. Wo dusre logo aur students se mil kar ek collaborating environment banate hein. Game ke type ke baawjood video games ka brain par shaant effect padta hein jo main roop se stress aur anxiety (tanaav) ko durr karne mein help karta hein. Iske alawa better decision making ke liye, creative increase karne jese bahut saare positive affects hote hein video games khelne se.