Allahabad High Court Apni hi zamin ko bachane ke liye supreme court me case lad raha he. Ye sunne me kafi weird lagta he lekin yhi sach, 2017 me is case ko register kara gaya tha jisme Allahabad High Court ne unke parisar me Masjid Hatane ka fesla diya the. Is fesle ko mosque committee or Sunni Waqf Board ne supreme court me challenge kara. Ye mosque 1950 me leach ki zamin par bina permission ke privately banai gayi thi jiske baad 2002 me jab leach ki vedhata kahatam hui to 2004 me ye zamin high court ke liye allot kardi gayi thi jiske chalte ab ye ger kanuni dhang se bnai gayi masjid High Court ke parisar se hataye jane ki mang uthai ja rhi thi.
Is case me Sunni Waqf Board ko represent kar rahe advocate Kabil Sibbal ne kaha ke jabse Allahabad High Court ki building tayar hui thi tabe sare muslim vakil vaha par namaz pad rhe the, lekin kuch samay baad unke namaz padne ki jagah par chamber bna diye gaye. Jiske chalte muslim vakilo ne High court se namaz padne ki jgah ke liye maand kari or high court ne ye mang sun ke unhe court ki south direction me jagah di gayi. Jiske baad vaha masjid ban gayi or 2002 me leach khatam hone k baad Masjid hatai jane ki mang ki ja rhi he jo galat he kyuki Masjis court ke parisar me nahi sadak ke kinare par he.
Iske javab me Supreme Court ne kaha court ne 2012 me apni jagah vaps mangi thi or masjid ka ispe koi bhi kanuni adhikar nahi he. Is vjaha se SC, high court ke fesle me dhakal andazi nahi kar sakta. Or iske chalte SC ne Allahabad high court se masjid hatane ke liye 3 month ka time diya he. Court ne ye bhi kaha he ke agar 3 month ke andar ye masjid nh hatai gayi to Government ise demolish kardegi.