Hum jab bhi stress lete hai uska asar hamari health par bhi hota hai, stress lene se acidity jaisi health problems ho sakti hai jo ki lambe time bhi chal sakti hai aur agar stress aise hi lete rahe to acidity ki problem lambe samay tak reh sakti hai aur eske health ke liye bura asar ho sakta hai. Stress badhne se blood pressure, depression aur hypertension ki bhi shikayat hone lagti hai aur heartburn, acidity zyada time tak rehne ki wajah se serious health problems bhi ho sakti hai jiski wajah se liver kamzor rehta hai.
Stress ki wajah se aaj kal har koi pareshan hai, sabse zyada youngsters mein stress badhta nazar aa raha hai, wo mental pressure mein stress lene lagte hai aur depression mein chale jate hai. Mental health ke sath sath gut bhi affect hota hai. Stress ki wajah se gut se related problems hone lagti hai.
Aisa maana jata hai ki acidity agar zyada badh jaye to cancer bhi ho sakta hai. Koshish kare ki stress na le. Stress lene se bahut choti health problem bhi serious problem mein badal sakti hai. Choti choti baato ka stress na le aur agar koi baat pareshan kar rahi hai to apne close ones se share kare lekin stress le kar health ko affect hoga isiliye baar baar stress le kar health ko kharab naa kare. Agar acidity ki takleef se guzar rahe hai ya heartburn ki shikayat rehti hai to doctor se consult zarur kare.
Agar koi bhi problem lambe samay tak theek nahi ho rahi hain to medical ka sahara lena important ho jata hai. Acidity ya heartburn ya koi bhi health problem hai ko uska treatment zarur karwaye. Eska treatment ho sakta hai daily routine mein yoga ya koi exercise kare aur healthy diet hi le.