Samsung ne officially tor par Galaxy A53 ke successor A54 ki announcement kar di hein. Iske saath saath hi Samsung ne ab India mein Galaxy A54 aur Galaxy A34 smartphone launch kiye hein. Phone mein 120HS Super Display hein. A54 latest Exynos 1380Soc through powered hein aur A34 mein dimensity 1080 Soc hein. Samsung Galaxy A34 8GB + 128GB ki price Rs 30,999 hein aur Samsung Galaxy A34 8GB + 256GB ki price Rs 32, 999 hein. Wahi Samsung Galaxy A54 8GB + 128GB ki price Rs 38,999 hein aur Samsung Galaxy A54 8GB + 256 GB ki price 40,999 hein.
Agar hum Smasung Galaxy A54 ki baat kare to yaha naye design, upgraded hardware aur latest software ke saath, Galaxy A54 Samsung ki taraf se ek excellent mid-range offer ki taraha lagta hein. Iske baare mein intresting baat yaha hein ki Galaxy A54 chota phone hein, jo 6.4 inch 1080p Super AMOLED panel ke saath 120Hz refresh rate aur vision booster support ke saath aata hein. Galaxy A54 ka Dimension 158.2×76.7×8.2mm aur weight 202 gm hein.
Samsung Galaxy A54 mein 50MP f/1.8 main camera, 12MP f/2.2 fixed-focuse ultrawide shooter, aur 5MP f/2.4 dedicated macro camera hein. Opposite end par 32MP f/2.2 selfie camera hein. 25W fast charging ke saath 5000mAh(typical) battery, in-display fingerprint sensor , aur Samsung one UI 5.1 ke saath Android 13. Sirf iske features hi nhi Galaxy A54 mein Glass Sandwich Design hein (glass on the front and back) bhi hein. Jo ki bahut stylish lagta hein. Samsung Galaxy A54 Lime, Graphite, Violet aur White mein available hein.
Wahi agar hum baat kare A34 ki to isme 48 MP ka rear camera, 8 Mega Pixcel ka ultra wide angle camera aur 5MP ka micro camera hein, lekin isme depth sensor nahi hein. Isme 13 MP ka front camera hein. Galaxy A34 Lime, Graphite, Violet aur Silver mein aata hein. Samsung Galaxy A34 6.6 inch FHD+ (1080×2340 pixcel) Super AMOLED Infinity-U Display 120Hz refresh rate ke saath,1000 nits tak brightness corning Gorilla Glass 5 protection ke saath available hein.