Badalte mausam ki wajah se health mein bhi changes hote hai jiski wajah se kayi baar hum bimar bhi ho jate hai lekin aaj jo hum aapko information denge wo aapki health ko aise badalte mausam mein bachane ke liye hai. Agar aap en tips ko follow karenge to aap ko apki health mein achha difference dekhne ko milega.
Sabse pehle to hum baat karenge khane-pine ke baare mein. Aap jo bhi khate hai uska sidha asar aapki body pe hota hai. Aap jaisa khayenge waise aapki body respond karegi. Khate-pite waqt ye baat hamesha dhyan rakhe ki agar fruits kha rahe hai to wo seasonal aur regional hone chahiye. Vegetables ko bhi diet mein add kare.
Aap apni diet mein fruits, dry fruits, grains ko add kare aur yaad rakhe ki jab bhi kuch khaye, healthy khaye. Agar aapki immunity strong hogi to aap bimar nhi honge. Aaiye baat karte hai aise food items ki jo aapko bimar hone se bachayenge aur sath hi mein body ko healthy rakhenge.
Pehla food item hai jaggery, jaggery ko aap sugar se replace bhi kar sakte hai agar aisa naa kar payein to aap jaggery ko direct bhi kha sakte hai aur agar chahein to raat mein halke garm milk ke sath bhi kha sakte hai. Ab baat karte hai khajur ki, khajur ko immunity badhane ke liye bhi khaya jata hai. Khajur ko milk mein boil kar ke milk ke sath consume kar sakte hai.
Haldi consume karne se bhi health achhi rehti hai, lukewarm milk ya halke garm pani mein haldi ko mix kar ke bhi consume kiya ja sakta hai. Ye sabhi tips aapki health mein achha effect le kar aayengi.
Jo bhi tips aapse share kiye gaye hai unko follow karne se pehle ek baar doctor se consult zarur kare.