Rats Can Carry Covid In New York

Hal hi me New York city me ek study conduct ki gayi thi wild rats ke upr. Is study ke liye group or researchers ne 79 rats ko pakda alg alg location se. Lekin sabse jada rats inhone Broklyn ki waste water bodies ek aas pass se pakda tha. Jab in wild rats ke upar test kare gaye to researchers ne paya ki jo rats unhone pakde wo Covid ke tino varients ke liye positive aaye he. 79 me se 13 rats SARS-coV 2 ke alpha, delta, or omicron varient se positive he. New York city 8 millions se bhi jada rats ka ghar he or wo regular basis pe humans ke contact me aate rehte he.

Rats Can Carry Covid In New York

Is new study se clear hogya ke New York city ke rats bhi covid-19 ke varients se infect ho sakte he. Ye study 9 march ko mBio me publish hua tha, mBio ek open access American journal he jo ki Microbiology pe based he. Is study me Dr Henry Wan jo ki principal investigator the is study me unhone kaha ke ye vishwa ki pehli esi study he jo conduct kari gyi the ye batane ke liye ki SARS-CoV-2 varient wild rat ko bhi infact kar sakta he jo urban area ke aas pass paye jate he.

Rats Can Carry Covid In New York

Dr Henry Wan ne ye bhi kaha ke abhi tak esa koi evidence nahi he jisse ye pata lag sake ke rats can infact humans with covid. Unhone ye bhi kaha ke abhi unka main objective SARS-CoV-2 viruse ko rat population ke andar monitor karna he. Taki is virus ke circulate hone ke pattern ka pata lg sake or ye pta lg sake ke kahi ye virus fir se mutate to nh ho raha. Lekin CDC (Centre for Disease Control and Prevention) ne kaha ke cases for other mamels to humans transpission of covid-19 are very rare.

Leave a Comment