Rani Mukherjee’s “Mrs. Chatterjee Vs Norway” : Review Releases On 17 March

Bollywood actress Rani Mukherjee ki upcoming latest film “Mrs. Cheterjee Vs Norway” release ho chuki hein. Actress Rani Mukherjee ka naam unn actresses mein shaamil hein jo kabhi Bollywood mein chhaayii rahe hein. Peechle kuch samay se rani bahut kam films mein nazar aayi hein aur inme se kai films to box office par kamaaal bhi nahi kar paay. Lekin ab dekhte hein Rani Mukherjee starring film screens par kya dhamaal machati hein.

Mrs Chatterjee Vs Norway

Film “Mrs. Cheterjee Vs Norway” ki story ek Sagrika Bhattacharya naam ki lady ki real life story par based hein jo ki ek geophysicist se shaadi karne ke baad Norway chale gayi aur uske baad usne apne bete Abhigyan ko janm diya tha. Jese hi Abhigyan bada hota hein fir Sagrika ko feel hua ke uske bete mein autism ke symptoms hein, ek type ka brain disorder. Dono apne bete ka Norway mein treatment try karte hein unka beta sirf 14 months ka tha.

Lekin uski condition mein kuch sudhaar nahi hota hein aur time ke saath uski haalat aur bigadti chali gayi. Kuch time baad Sagrika ki ek beti hui jab sab kuch thik chal raha tha tab Norway ki chil welfare services ne jhootha bahana banakar dono baccho ko uthaa kiya. Fir apne hi baccho ko wapas paane ke liye Sagrika aur uske husband ko jo struggle karna pada, uski story hi “Mrs. Chatterjee Vs Norway” film se pesh ki gayi hein.

Rani MukherjeeFilm mein character ke naam badal diye gaye hein Rani Mukherjee Sagrika ka role play karne ki poori koshish karti hein. Lekin screenplay aur writing ke liye jo Rani ko support chahahyiea wo nahi milta. Lekin fir bhi Rani screen par apni performance ko poore josh ke saath pesh karti hein. Wahi dusre roles mein Actor Jim Sarabh, Anirban Bhattacharya, aur Neena Gupta hein. Superstar Shahrukh Khan ne bhi social media par iss film ki kaafi appreciate kiya hein.

Leave a Comment