Rahul Gandhi Ko Huyi 2 Saal Ki Saza..Janiye Kya Hai Mamla

Rahul Gandhi ko court ne 2 saal ki saza sunayi hai, unhone 13 April 2019 ko Karnataka ke Kolar mein ek chunavi raili mein bayaan diya tha ki Lalit Modi, Narendra Modi, Neerav Modi ka surname same kyu hai? Saare choro ka surname Modi kyu hota hai? Es bayaan ki wajah se purva mantri Purnesh Modi aur Bjp vidhayak ne unke against aapradhik manhani ke chalte case darj karwaya tha.

Rahul Gandhi

Es manhani ke mamle mein court ne Rahul Gandhi ko doshi maante huye do saal ki saza sunayi hai, Gujarat ke surat sesssion court ne unhe saza suna di hai lekin Rahul ko jaldi hi 30 din ki bail bhi mil gayi hai. Unhone modi samaj ka apmaan karte huye aisa bayaan diya tha.

Ye char saal purana maamla hai aur surat court ne Rahul Gandhi ko doshi paya hai. Rahul court me present the aur unke advocate ne bataya ki wo upari adalat mein ja sakte hai es faisle ke khilaf, aur unhone judge se request ki thi ki Rahul ko kam se kam saza sunayi jaye kyu ki unke es bayaan ne kisi ko koi takleef nahi pahuchayi hai. Wahi dusri aur, Purnesh Modi jinhone shikayat ki unhone es matter mein mang ki hai ki Rahul Gandhi ko jurmana aur adhik se adhik saza ho.

Rahul Gandhi

Court ke bahar aa kar Purnesh Modi ne kaha hai ki Rahul Gandhi ke aise bayaan par humne yachika dayar ki thi, aaj uska faisla aa chuka hai aur hum eska swagat karte hai. Ye ek samajik aandolan tha aur aisa bayaan nahi dena chahiye jo kisi samaj ke khilaf ho.

Rahul Gandhi ko IPC ki dhara ke tehat doshi mana gaya hai. Rahul ki side se request ki gayi thi ki unhe zamanat di jaye jisme wo upari adalat mein ja paye, aisa Purnesh Modi ke advocate ne bataya hai.

 

Leave a Comment