Project Lion

Project Lion ko hamare desh ke Prime Minister Shree Narendra Modi Ji ne 15th August 2020 ko announce kara tha. Is project ka aim he Asiatic lion ke long term conservation or future ko secure karna. Project Lione ke zariye Gujarat state government or central government ek sath mil kar Asiatic lions ko Barda wild life sanctuary me reintroduce karne vale he. Barda me pehle bhi Asiatic lion paye jate the lekin wo over hunting or mass killing ke chalte vaha se extinct hogy. Last wild Asiatic lion Barda me 144 saal pehle dekha gaya tha uske baad January me ishi saal ek radio collar vale Male Asiatic lion almost 3 yr ka Barda Sanctuary me enter hua tha.

Project Lion

Forest department is lion par 2 month se track rakh rhe the or unhone paya ke ye lion Barda me ache se settle hogya he. Is chiz se government ko ek naya boost mila he or unke Barda me lions ko reintroduce karane k project ko nayi hopes mili he. Is reintroduction project ke liye government ne 1000 cr ka budget pass kara he. Lekin lions ko reintroduce karane ke pehle government ko kuch or chizo par pe bhi dhyan dena hoga. Jese ki Barda WildLide Sanctuary me rehne vale aadivasi kabile jinhe Maldhari community kaha jata he unhe relocate karna taki Lions ke rehne ke liye ye suitable jgha ban sake.

Reintroduction of Asiatic lion in barda

Iske alava government ko prey animals ki bhi sankiya breeding ke zariye or habbitat or vegetation improve kar k badani pafdegi. Governmnet sambhar deer ko bhi is sanctuary me introduce karne ka plan kar rahi he taki lions ke liye khane ki koi kami na ho is sanctuary me or wo ishe apna second home bana sake. Currently Gir national park ek akeli esi jgha he jaha Asiatic Lions paye jate he or wo inki population se bohot over crouded ho chuka he, To ye ek perfect time he in lions ko Barda me reintroduce karane taki wo disease se bhi bach sake or unke rehne ke liye kafi jagha bhi provide karai ja sake.

Leave a Comment