Phir Se Ek IT Company Naukri Se Nikalegi 19 Hazar Employees Ko!!

Ek baar phir se ek aur IT company apne employees ko job se nikalne ki tayyari mein hai. IT company Accenture ne annouce kiya hai ki wo unki company ke employees fired karegi. Kuch time pehle Amazon ne bhi almost 9000 employees ko job se nikal diya tha. Aage jante hai company mein aur kya badlav hone wala hai.

Accenture lay off

Accenture ne apne annual revenue growth ko bhi reduce kar diya hai. Company ne declare kiya hai ki wo total workforce mein se 2.5 percent ke portion ko kam karegi jo ki 19000 hai. Company ne ye bhi kaha hai ki aane wale 18 mahino mein employees ko nikalne ki process hogi aur Non Billable Corporate Functions mein jo employees involve hai un par eska jyada asar padega.

Accenture se pehle Microsoft ne 11,000, Amazon ne 18,000 aur Meta ne do phases mein 21,000 employees ko job se nikal diya tha. Companies mein aise changes ki wajah se employees ko bahut suffer karna padta hai. Recession ki badhne ki wajah se ab ek aur company ke employees ko nikala jayega.

Accenture lay off

Jab company aise layoffs karti hai to employees par bahut asar padhta hai, unke liye bahut saari mushkile khadi ho jati hai. Ye ek sad kar dene wali news hai kyu ki ek ke baad ek company employees ko fire kar rahi hai. Aise mein employees ke liye pareshani khadi hone wali hai. Agle 18 mahino mein ye puri process complete ho sakti hai.

Pure world mein recession ki wajah se layoffs ho rahe hai aur esi reason ki wajah se Accenture lay off kar raha hai, pehle bhi Google, Twitter ne apne kaafi saare employees ko company se nikal diya tha. Accenture mein lay off ki news company ki CEO Julie Sweet ne di hai. Company ne annual revenue ke sath sath profit forecasts ko bhi reduce kar diya hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

Leave a Comment