Papaya: Benefits, Side Effects and More

Jab hum fruits ki baat karte hai to papaya ka naam sabse pehle liya jata hai jo ki ek low calorie fruit hai. Aaj kal sabhi diet mein fruits zarur add karte hai kyu ki enke bahut saare fayde hote hai jo health ko kayi benefits dene ke sath sath health ko maintain bhi karte hai. Fruits mein agar papaya ki baat ki jaye to sabse pehle papaya ka naam aata hai kyu ki eske health ke liye bahut saare benefits hai lekin kuch side effects bhi hai aur kis kisko ye fruit nahi khana chahiye eski bhi aaj hum baat karenge.

Papaya

Papaya mein vitamins aur fiber zyada quantity mein hote hai jiski wajah se ye digestion ko maintain rakhta hai aur diabetes jaisi bimariyo ko door rakhne mein aur unse bachane mein help karta hai lekin kuch logo ke liye papaya khana sahi nahi rehta hai kyu ki eske kuch side effects bhi hai aur kuch logo ko esko consume nahi karna chahiye. Aaiye jante hai kin logo ko papaya consume nahi karna chahiye.

Pregnancy mein papaya ko avoid karna chahiye, esko khane se pregnancy mein complications ho sakte hai to papaya ko pregnancy ke samay mein puri tarah avoid kare. Agar aapko kisi chiz se allergy hai to bhi aapko papaya ko diet mein add nahi karna chahiye aur es fruit ko avoid karna chahiye.

Papaya

Agar kisi ko kidney mein pathari ki problem hai to usko bhi papaya nahi khana chahiye aur blood pressure ya jaundice ya Asthma mein bhi papaya ko nahi khana chahiye kyu ki en health problem mein es fruit ko khane se aur dusri health problem ho sakti hai.

To aaj aapne jana ki kis kisko papaya nahi khana chahiye aur agar papaya khane se kuch bhi health problem hoti hai to doctor se zarur mile. Waise to papaya ke bahut saare fayde hai lekin har kisi ke liye papaya achha nahi hai.

Leave a Comment