NASA’s Ingenuity Mars Helicopter Takeoff For 47th Time

Recently abhi NASA ne ek video release kari jisme NASA ka Ingenuity Mars Helicopter 47th time takeoff karte hue dikhai dera he. Is video me dust usti hui dikhai de rhi he jo ki helicopter ke spinning rotters ki vjah se tha. Is takeoff ke baad Helicopter apni jagah par kuch pal hover karta he or fir south west direction me 450 meter travel karta he. Ye video NASA ke Perseverance rover Mastcam-Z imager dvara record kari gayi on March 9, 2023. Jab video record kari gayi thi tb Mastcam rover Ingenuity Mars helicopter se 120 meter ki duri par tha.

NASA’s Ingenuity Mars Helicopter

Perseverance rover ke sare mission or operation ko manage or built karne ka kaam Nasa ki Jet Propulsion  Laboratory ka he jisko Caltech manage karti he. Caltech ek private research university he jo ki located he Pasadena, California me. Vhi Mastcam Z ko bnane or operation karne ke liye Arizona State University or Malin Space Science Systems ke bich collaboration hua the. Ye dono ne sath mil kar Mastcam-Z ke design, fabrication, testing, or mars mission ke operations ko bhi inhone hi anjam diya tha. Is mission ke chalte NASA ko Kafi jankari bhi mili he mars ke bare me jp hamare liye kafi ueful hogi.

Perseverance rover

Ingenuity Mars Helicopter ko develop JPL ne kara the, JPL, NASA headquarters ke sare projects ko manage karta he. NASA’s Science Mission Directorate. NASA’s Ames Research Center in California’s Silicon Valley and NASA’s Langley Research Center in Hampton, Virginia, provided significant flight performance analysis and technical assistance during Ingenuity’s development. AeroVironment Inc., Qualcomm, and SolAero also provided design assistance and major vehicle components. Ye sare bade naam ek sath aaye the to manufacture this rover and helicopter. In sb k contribution or team efforts, ki vajah se aaj hum mars par ud rahe drone ka video dekh paye he.

Leave a Comment