NASA – Newly Discovered Asteroid To Hit Earth In 2046

NASA jo ki ek American space agency he usne haal hi me ek naya asteroid discover kara he jisko unhone naam diya he 2023 DW. Ye asteroid ek Olympic swimming pool ki size ka he or earth se almost 11 million miles ki duri par he. NASA ke planetary  defense coordination office ke according is asteroid ke earth ko hit karne ke chamce bante dikhai de rhe. According to experts ye asteroid earth ko 23 saal baad yani ki 2046 me valentine’s day par hit karega lekin iske chance boht hi kam he isliye logo ko pamic hone ki or iski tension lene ki bilkul jarurat nahi he.

NASA

Boht salo ke baad koi space object NASA ki risk list me rank kar raha he, lekin still iske earth ko hit karne ki sambhavana bilkul na ke barabar he. Europian Space Agency ka manna he ke is asteroid ke earth ko hit karne ki chance 1/625 he. Vhi NASA ke Jet Propulsion Laboratory Sentry System ke mutabik is asteroid ke earth ko hit karne ke chance 1/560 he. Ye asteroid NASA ki Torino impact hazard list me top par he with rank of 1/10. Though 2023 DW list me top par he fir bhi iske earth ko hit karne ki chance almost 0 he.

NASA - Newly Discovered Asteroid To Hit Earth In 2046

Davide Farnocchia jo ki ek navigation engineer he Jet Propulsion Laboratory in Pasadena, California me. Unhone kaha ke sare object jo newly discovered hote wo starting me threatning lagte he lekin jb unpe vistar se studies hoti he or unhe jada se jada observe kara jata he to unse related risk factors dhire dhire khatam ho jate he. According to the experts is asteroid ki size 5o meter he diameter me. Is object ko first time 2 February ko dekha  gaya tha. 2023 DW space me almost 15.5 miles per second ki speed par travel kar raha he or earth se sirf 11 miles ki duri par he.

Leave a Comment