Ugadi festival south india ka ek mukhya tyohar hai jo waha ke log naye saal ke roop mein manate hai. Ugadi ko “Yugadi” bhi kaha jata hai, eska matlab hai ki “naye yug ki shuruaat”. Ye festival mostly march-april ke month mein aata hai. Aisa mana jata hai ki es din puja karni chahiye kyu ki usse sukh, shanti, saubhagya aur samruddhi ka pravesh hota hai. Chaliye ab hum Ugadi festival ki importance ko jante hai.
Ugadi parv ko south india mein bahut mana jata hai, waha ke logo ke liye eski bahut importance hai. Wo log es festival ko pure man se khushi se manate hai or apne naye saal ki shuruaat karte hai. Ugadi ko naye saal ka pratik mana gaya hai. Ye din kisano ke liye bhi bahut zaruri mana jata hai kyu ki unki fasal ke mausam ka aarambh esi din se hota hai.
Esi din Gudi Padwa bhi manayi jati hai aur es din hindu nav-varsh ka shubhaarambh hota hai. Log bahut khushi ke sath es parv ko manate hai, Brahma ji ki puja karte hai aur aane wale naye saal mein aagman karte hai. Es din se chaitra navratri ki bhi shuruaat hoti hai. Maharashtra, Andhra Pradesh, Karnataka, Telangana aur bhi kayi pradesho mein dhoomdham se parv ko manaya jata hai.
Desh me alag alag naamo se es parv ko manaya jata hai. Kerala aur Goa me Gudi Padwa ko Samvatsar Padwa ke roop me manaya jata hai. Kashmiri hindu es din ko Navreh ke roop me naye saal ka aarambh karte hai. Aisa mana jata hai ki es din Gudi lagane se sukh-samruddhi ghar me aati hai. Es saal Gudi Padwa 22 March, 2023 ko manayi jayegi. Gudi ko red flowers aur neem ke patto se sajate hai. Ese unchi kisi jagah par rakhte hai. Kayi log esko main gate par ya windows par lagate hai.