Fiber diet ek magic ingredients ki taraha hein jo aapko niyamit (regular) rakhta hein, kyuki sirf constipation (kabj) ko durr karna hi iska ek only kaam nahi hein. Yaha bahut kam log jaante honge ki Fiber bhi cholesterol kam karne mein help karta hein, heart disease ke risk ko kam karta hein, aur to aur yaha colorectal cancer jesi bimaariyo ko kam karne mein bhi nahut help karta hein. Saath hi saath yaha aap ke blood sugar level ko bhi badhne se rokta hein aur aapko lambe time tak bhara hua feel karata hein jisse aapko weight kam karne mein help mil sakti hein.
To chaliye jaanete ese kuch foods ke baare mein jinme high fiber hota hein. Fiber plants se aata hein lekin plats ka kingdom bahut bada hein aur dietary fiber ke best source aapko surprise kar denge. Taylor ek din mein kam se kam 25 grams se 35 grams tak rakhne ka suggestion deta hein. To chaliye jaante hein fiber ke kuch sources ke baare mein. Lentils (Masur ki Daal) Legums (faliya) fiber ki ek badi source hein “daal nutritional powerhouse hein”. Ek cup boiled daal mein 18gm fiber hota hein. Daal jaldi pak jaati hein.
Beans generally roop se fiber mein kaafi high hota hein, aur nlack beans iss list mein sabse upper hoti hein. Ye protien, pottasium aur antioxidants mein bhi kaafi high hein jo unhe tasty aur healthy option banati hein. Split peas fiber ka ek bahut accha source hoti hein, aur ye aapko energy bhi provide karte hein inme calorie bhi kam hoti hein 1 cup boiled split peas se aapko 16 gram fiber milta hein. Sabse jyada high fiber wali beans black beans hoti hein.
Iske saath saath hi sabhi berries bhi aapke liye high fiber source hein Raspberries sabhi berries mein abse jayada high fiber provide karti hein. Blackberries bhi juice aur sweet hone ke saath saath yaha chote fruit bht high fiber yukt bhi hote hein. Apple jo ki hume din mein ek to khana hi chahayiea kyuki yaha protien ka ek accha source hein aur saath hi saath ek type ka slouble fiber bhi hein jo cholestrol se judaa hota hein.