Healthy Skincare Routine For Day And Night

Ek healthy skin routine waha hota hein jisme hume apni skin ki care karni hoti hein jo ki aaj kal ki busy life mein bilkul possible nahi ho pata hein. Skin ki care only usse wash, clean aur moisturize kar ke nahi hoti balki iske liye hume humari skin ko essential Vitamins, minerals aur other things ka daily dose provide karna padta hein. Kai seasons mein hum bahut alag alag skin problems ko face karte hein fir chahe wo dryness ho, itching ho, ya fir ek ziddi pimple ho.

Healthy skin care routine

Skincare sirf in problems ko solve karna nahi hein balki prevent karna bhi hein. Isliye hume apme skin care routine ko ignore nahi karna chahayiea fir chahe wo 5 minute ka fast routine ho ya 30 minutes ka shandaar pamper session. To chaliye aaj hum aapke saath share karte hein kuch best skin care routins. Aapko bata de ki aapka night skincare routine bahut important hein kyuki ye poori raath aapki skin ko repair karne mein help karta hein.

Iske liye sabse pehele apne face se kisi bhi makeup or impurity lo cleanser use kar ke saaf kijiye. Fir apni skin ka pH balance karne ke liye toner lagaye or isse agli stage ke liye ready kare. Last mein sab steps ko hydrate karne ke liye moisturizer lagaye aur agar aap eyes cream bhi lagana chahate hein to wo bhi laga sakte hein.

Healthy skin care routine

Aapka morning skin care routine aapki skin ko bahari damage se bachane ke liye hota hein. Sabse pehele apni skin par se kisi bhi oil, impurity ya sweat ko hatane ke liye kisi gentle cleanser se saaf karne se starting kare jo ki raat se bhi jama ho sakta hein. Fir apni skin ke pH ko balance karne ke liye toner apply kare aur isse next step ke liye ready kare. Fir skin ko sun damage se bachane ke liye serum ya kisi treatment ka use kare. Iske baad esa moisturiser lagaye jo aapki skin ko harmful UV Rays se protect kare last mein apni eyes ko hydrate karne ke liye eye cream lagana na bhoole.

Leave a Comment