Pumpkin ya kaddu ek esa fal he jiske bohot sare nutritional benefits hote he, or ye logo ki diet ka bohot important hissa bhi mana jata he across the globe. Lekin kya aapko pta he jitna nutrition is fruit ke andar hota he usse kai jada nutrition ishe seeds ke andar hota he jinke hum waste me fek dete he. Pumpkin Seed ke use ka boht hi lamba itihas raha he ye seed 7500 saal pehle se use hore h humans ke dvara for nutrition. In seeds ka istemal bohot si bimariyo ko treat karne ke liye bhi hota tha jese ki bladder infection, kidney stones, parasites, High blood pressure, and diabetes.
Pumpkin seeds bohot sare nutrients se rich hote he, in seeds ke andar bohot hi high amount hote he nutrition he. Iske alava isme bohot hi high level ke essential vitamins or minerals bhi hote he jo hamari overall health ke liye bohot important hote he. Agar aap roz handful of pumpkin seed apni diet me add karte he to ye k kafi had tak aapki sari nutritional need puri kardeta he. Lekin agar app weight loss karna chahte then aapko pumpkin seed measure kar ke consume karna hoge kyuki ye bohot high hote calories me.
Ye seeds bohot hi acha source dietary fibers ka or antioxidant ka jo mare cells disease’s se hone vale damage se protect karta he. Pumpkin seeds ko regular use karne se hum kafi bimariyo se bach sakte he jese ki regular ye seeds diet me add karne se we are at lower risk of diabetes, Anti-cancer properties, healthy heart function, better sleep, and complete nutrition jese benefits milte he. Pumpkin seeds se hume high amounts me phosphorus, magnesium, iron, potassium, copper jese minerals milte he. App bhi apni diet me pumpkin seeds ko jarur add kare taki aap hi iske health benefits ka laabh utha sake.