New Zealand Vs Sri Lanka ki 2 matches ki test series kafi dramatic or thrilling lag rahi he abhi tak. Is series ke first match me India ka WTC ke final ka rasta bhi clear kardiya tha. Pehle match ki pehli inning me Sri Lanka ke ballebazo ne New Zealand ke samne 355 runs ka target rakha, iske javab me New Zealand ne 373 run bnaye or 18 run ki lead bhi bnali. Second inning me batting karne aai Sri Lanka ne firse ek baar 300 ka anksa paar kar 302 run bnaye. Jiske javab me aakhri din New Zealand ke captain Kane Williamson ne 121 run ki nabat pari kheli or aakhri ball par single leke team ko match jitaya.
First match me mili itni close haar ke chalte Sri Lanka ka WTC tak puchne ka rasta bhi band hogya. Lekin is jit ke sath New Zealand bohot khush the, New Zealand ne Kane ki captaincy me India ko kai baar ICC events ke matches m hara kar bahar ka rasta dikhaya he, aaj ushi New Zealand ke former captain Kane ne India ko WTC ke final me pohcha diya, Kane Williamson cricketing world me Fab 4 ka bhi hissa he is list me Australia ke diggaj ballebaz Steve Smith, England ke Joe Root, or Bharat ke Virat Kohli bhi jude he.
Sri Lanka ke virudh dusre match me bhi pehli pari me Kane Williamson ne apna form barkarar rakha or 215 runs ki pari kheli jiske chalte Kane lagatar 3 matches me 3 century lgane vale New Zealand ke Pehle khiladi bane. Iske alava unhone fastest to reach 38 century ka bhi record bnaya inhone sirf 164 innings me 28 century apne naam kari vhi Virat Kohli ko 183 inninga ka sahara laga tha. Kane ab New Zealand ke liye test me 8000 runs pure karne vale pehle ballebaz bhi ban chuke he. Iske pehel New Zealand ke liye leading Run scorer Ross Taylor the jinhone apne career me 7683 test runs jade the.