Food humari life mein bahut important role play karta hein is par kuch ese foods hote hein jo huamare body parts ke liye bahut beneficial hote hein jinhe khaane se hume ek healthy body paane mein help milti hein. Wese hi ek humari body ka bahut important part hein jise hum Liver kehete hein yaha humari bodi ka ek bada part hein jo ki diaphragm ke neeche, pet ke upper right side hota hein. Yaha sabse bada internal organ hein aur iska weight 3 pound tak ho sakta hein. Liver reddish-brown color ka hota hein kai important work perform karta hein.
Yaha jaan na bhi important hein ki liver bahut essential organ hein aur metabolism aur detoxification mein important role play karta hein. Isliye liver ko healthy banaye rakhna ek important kaam hein, aur esa karne ke liye liver ki health ke liye good foods ko pehechan na aur jaan naa hoga. To chaliye jaante hein kuch good foods ke baare mein jo liver ke liye acche hein.
Leafy greens jese kale, arugula aur spinach mein high antioxidants hote hein jo liver inflammation (Liver ki sujan) ko kam karne mein help kar sakte hein isliye hume inka sevan karna chahayiea. Broccoli, cauliflower, cabbage jesi vegetables jo vitamins, minerals aur fiber se rich hoti hein aur liver ke functions ko support karti hein. Garlick liver ke liye sabse acche foods mein se ek hein jo liver ki sujan kam karne aur liver function ko badhane mein help karti hein.
Fruits, nuts aur seeds antioxidants, vitamin c, healthy fat, minerals aur fiber mein high hote hein jo swelling (sujan) ko kam karne , liver cells ko protect karne aur liver health support karne ke liye important hein. Mackerel, sardines, aur salmon jesi kuch fishes Omega-3 fatty acid se bharpoor hoti hein jo sujan kam karne aur liver function ko improve karne mein help kar sakti hein.