Black Coffee Ke Fayde Aur Nuksan

Daily tea ya coffee to har kisi ke routine me shamil rehti hai lekin kabhi aapne ye socha hai ki tea ya coffee ke fayde or nuksan bhi hai. Aaj hum aapko Black coffee ke kuch aise fayde aur nuksan batayenge jo aapne pehle shayad hi sune honge.

Black Coffee in daily routine

Hum roz ya to chai ya coffee shauk se pite hai lekin unke kuch aise nuksan hai jo khatarnak bimari ko janm de sakti hai. Coffee ke alag alag fayde aur nuksan hai, hum aaj Black coffee ke baare mein baat karenge. Black coffee pine se humari body mein kaafi asar padta hai. Ese pine se body energetic ho jati hai aur thakan door hoti hai.

Black Coffee extra fat ko kam kar deti hai aur metabolic rate ko increase kar deti hai. Jo log weight loss karna chahte hai wo black coffee ko daily routine mein add kar sakte hai, weight loss mein kaafi help hogi. Black coffee pine se memory bhi tez hoti hai, ye body mein insulin ko badane mein bhi help karti hai, sugar level bhi maintain rehta hai. Cholesterol level ko maintain karne me black coffee help karti hai.

Black Coffee

Humne black coffee ke fayde to dekh liye ab hum esse jo nuksan hote hai unko bhi samajh lete hai. Black coffee pine se nind me kuch kami aa sakti hai. Body me zyada caffeine badne se cortisol (stresss) hormone ka level bad sakta hai, jisse mental problems ho sakti hai. Esse heartbeat bhi tez ho sakti hai aur ye stress ko bhi bada sakti hai.

Humne black coffee ke fayde aur nuksan dono samajhe, to aakhir mein hum yahi kahenge ki agar sahi quantity me black coffee consume ki jaye to eske fayde hai aur agar zyada quantity me black coffee consume ki jaye to eske nuksan bhi hai. Agar aap black coffee ko apne daily routine me add kar rahe hai to utni hi quantity me consume kare jo nuksan na kare.

Leave a Comment