Humari body ka only 45% human cells se bana hua hein aur baaki ka part bacteria hein, jine se jyadatar aapki large intestine mein rehte hein aur bahut saare important kaam karne ke liye responsible hein. To jin foods mein good bacteria rehte hein unhe Probiotics kaha jata hein. Sabse comman fermented foods jinme naturally probiotics hote hein ya unme probiotics milaaye jaate hein unme Yogurt (Dahi), pickels (achaar), Kombucha, miso, kimchi, sourdough, bread aur kuch cheese bhi shaamil hein.
Humari body ko healthy mind aur body ko banaye rakhne ke liye good bacteria ki jarurat hoti hein. Ye body ki immunity ko banaye rakhne mein help karte hein, ye swelling ya infection ko control karte hein, ye kuch Vitamins (Vitamin B12) ko synthesise karne mein help karte hein, ye aapki body ko kharaab bacteria se protect karne ke liye important hein jine aapne khaane ke saath nigal liya hoga aur ese kai bahaut se benefits hote hein probiotic foods se.
Agar aap apne pet ki health ke liye probiotic diet lene mein intrested hein to yaha hum kuch foods ke baare mein discuss karenge. Yadi aap jyada probiotics prapt karna chahate hein to Yogurt(dahi) isme aapki help karega kyuki Yogurt mein aamtor par L Acidophilus hota hein. Yogurt digestion mein help karne ya unki probiotic content ko badawa dene ke liye bhi promote kiya jata hein. Dahi ek accha option hein kyuki yaha aasaani se mil jata hein aap isse sidhe container se bahar bhi kha sakte hein.
App yaha jaan kar hairaan honge ke Pickel (achaar) mein probiotics ho sakte hein jo ki aap ghar par bhi bana sakte hein aur kha sakte hein. Kimchi probiotic lactic bacteria ke saath vegetables ko fer,ment kar ke banaya jaane wala ek traditional Kprean favorite hein. Kimchi aapko 5 probiotics de skta hein. Sourdough strater mein lactic acid hota hein, starter waha enviroment hein jaha paani aur flour(aate) ke sevan se yeast aur acche bacteria grow hote hein.