Kya aap bhi laptop ya desktop ka use karte time apne keyboard ya mouse ke wires ke ulajhane se pareshaan hein aur ya fir in wires ki problems solve karte karte thak gaye hein to fir in wires ko hatane ka time aa gaya hein aur naye wireless mouse aur keyboard khareedane ka samay aa gaya hein.Ek best wireless mouse aur keyboard khareedane ke liye hazaro kharch karne ki zarurat nahi hein.
Agar aap kuch best budget mein wireless mouse aur keyboard purchase karne ka soch rahe hein yaha hum kuch combos ki list provide kar rahe hein jinhe aap 2,000 Rs se kam mein purchase kar sakte hein. HP 3330 wireless mouse aur keyboard combo unn logo ke liye hein jo ek full-size compact keyboard chahate hein. Inme 1600 DPI ke saath ek sielent mouse aur NUM Lock, Caps Lock aur Scroll Lock ke liye ek LED indicators ke saath ek chiclet-style keyboard hein. Is combo ki price 1,149 Rs hein.
Dell KM3322W ek aur accha option hein agar aap ese person hein jo apne peripherals par liquid ya food girate hein. Full-size ke keyboard mein anti-fell aur spill-resistant keys hoti hein jo ki tilt legs ke saath aati hein jisse ki aap keyboard ki height badha sakte hein. Yaha Amazon par 1,199 Rs mein available hein 3-years warranty ke saath.Agar aapko office aur desktop ke liye combo chahayiea to Logitech MK215 ek best option hein. Ye quite keys ke saath aata hein aur iski range 10 meters hein. Logitech ka dawa hein ke ek baar charge karne par 24 months ya 2 years tak chalega. Isse currently 1,345 Rs mein purchase kar sakte hein.
Yadi aap spill-resistant mouse aur keyborad hi find kar rahe hein to Lenovo 510 combo ko confirm kare. Iske mouse mein 1200 DPI hein yaha ek chota aur best mouse hein iska keyboard automatically power saving mode mein enter kar sakta hein. Iski price 1,999 Rs hein. Zebronics Zeb Companion 500 un logo ke liye ek best option hein jo white peripheral ki search mein hein. Full-size keyboard aur mouse mein ek dedication buttob bhi aata hein jo DPI ko badalne mein help kar sakta hein. Yaha currently Amazon par 1,299 Rs mein hein