BCCI Vs PCB

Year 2023 cricket fans ke liye boht hi dhamkedar hone vala he kyuki is year aapko har month non stop cricket action dekhne milega special for Indians. Kl hi India ne Australia ko Border-Gavaskar trophy me haraya he or iske sath India continously 4 baar BGT trophy jit chuka he or total 16 test series lagatar ghr par jit chuka he. BGT trophy ke turant baad India 3 matches ki ODI series khelega Australia ke sath. Ind Vs Aus ka pehla match 17 march ko khela jayega or last match 22 march ke liye schedule he. Is series ke turant baad India me IPL start hoga or uske turant baad World Test Championship ka final jo Australia ke against June 7 ko hone vala he.

BCCI Vs PCB

India is year world cup bhi host karra he to Indian fans apne fingers cross kar k bethe hoge or yhi pray kar rhe hoge ke is saal India world cup fir se jit jaye. Lekin world cup se pehle Asia cup bhi hone vala he or is saal ke Asia cup ke host Pakistan he, jiske chalte BCCI or PCB ke bich boht sari controversies chal rahi he. Indian ne 2008 ke baad abhi tak Pakistan ke sath koi bilateral series nh kheli or na hi unhone Pak travel kara due to security threat. Pakistan cricket team bhi last time 2016 me India aai thi jiske baad se ye teams sirf ICC events me ek dusre ke aamne samne aate he.

Update on Asia cup 2023

BCCI secretary ne kuch months pehle announce kara tha ke Indian team Pakistan travel nh karegi due to security threat, or uske baad se Pakistan bhi continously ye point utha raha he that agar Indian asia cup ke liye Pakistan nh ayega to wo bhi India me hone vala 2023 world cup ko boycott karge. Haal hi me PCB ke chief Najam sethi ne is controversy par update diya he, unhone kaha he ke ye ICC ki upcoming meeting me discuss karege and then whatever will be the decision that will be obeyed.

Leave a Comment