Har baar leek se hatkar topic par films laane wale Aamir Khan aaj 14th March ko apna 58th birthday celebrate kar rahe hein. To aaj unke birthday ke occasion par hum unki life aur unki films ke baare mein charcha karenge. Bollywood actor Aamir Khan ko “Mr Perfectionist” ke naam se bhi jaana jata hein. Bollywood actor Aamir Khan ne year 1988 mein film ‘Qayamat Se Qayamat Tak’ se apni Bollywood journey start ki thi aur uske baad fir unhone kabhi peeche mood kar nahi dekha. Aamir ka filmy carrier kareeb 35 years ka hein. Aur in 35 years mein unhone kai superhitt films bhi di hein.
Actor ban ne se pehele Aamir Khan ek excellent tennis player the yaha tak ki unhone kai state level championships mein participate kiya. Aamir ne national level par bhi tennis khela hein. Khelne ke alawa waha bahut intelligent bhi hein Aamir ‘rubic’s cube’ solve karne mein maahir hein. Aamir Khan freedom fighters ki family se belong karte hein yaha baat bahut hi kam logo ko pata hogi. Aamir Khan Maulana Azad ke great grandson hein jo ki India ke pehele education minister the aur khilafat aandolan mein important role mein the.
Agar baat kare Aamir ki married life to unhone 2 shaadiya ki hein peheli Reena Dutta se aur dusri Kiran Rao se. Wahi Aamir ke 3 bacche hein Junaid Khan, Ira Khan aur Azad Rao Khan. Aamir ke paas khaas car collection bhi hein jisme 9-10 cars hein wo bhi crores ki. Jinme Mercedes, Benz, Rolls Royce aur Ford jesi expensive cars shaamil hein. Yaha Aamir ke baare mein kai esi baate hein jo aapne kabhi pehele nahi suni hogi.
8 saal ki age mein Bollywood mein kadam rakhne wale Aamir ne kai superhit films di hein. Jinme Gajni, Lagaan, Mangal pandey, 3 idiot, PK jesi blockbuster films hein. Aamir ne apni har film ke liye kaafi mehenat ki hein. Par “Lal Singh Chadha” ke flop hone ke baad se, Aamir apni family ke saath time spend kar kar rahe hein aur unhone ne kaha hein ko kuch time baad industry mein lotenge.