Aaj dharti ke bahut paas se ek Asteroid guzrega jisko researchers ne “City Killer” ka naam diya hai. Agar ye Asteroid pruthvi se takarata hai to bhari nuksan ho sakta hai. Aaiye jaante hai ki eska kitna nuksan ho sakta hai aur eske baare me scientists kya kehte hai.
Saturday, 25 march ko dharti ke pas se City Killer naam ka Asteroid nikalne wala hai. Researchers ka kehna hai ki esse koi nuksan nahi hoga aur Asteroid aasani se dharti ki thodi doori se guzar jayega. Jab logo ne ye khabar suni wo tension mein aa gaye the ki agar ye asteroid ne kuch nuksan kar diya to kya hoga? Logo ko ab ye baat pata chali to unki tension kam ho gayi hai.
Asteroid, space mein ghumta hai aur eske nuksan bhi hai agar dharti se takra jaye to lekin abhi koi chinta ki baat nahi hai jab se researchers ne khulasa kiya hai ki ye pruthvi se thoda door se guzrega. Abhi dheere dheere ye dharti ke paas aa raha hai. Es Asteroid ka shape 40m se 100m ka hoga. Etne bade aur aise shape ke Asteroid ka dharti se etne pas se guzarna bina koi nuksan pahunchaye koi aam baat nahi hai.
Dharti ke etne paas hone ki wajah se reserachers Asteriod ko nazdik se study kar payenge aur doorbin ki help se bhi usko dekha ja sakta hai. 1908 mein Tunguska mein asteroid zameen se takra gaya tha. Ab yahi ummid ki ja rahi hai ki ye bas dharti ke pas se safely nikal jaye aur eska koi nuksan dharti ko naa ho. Logo ke man mein abhi bhi doubt hai ki kahi koi dharti pe eska bura asar naa ho jaye.
Logo mein abhi eska dar bana hua hai aur wo eske dharti ke pas se guzar jane ke baad hi raahat ki saans lenge.