World ke sabse bade awards Oscar 2023 ka countdown shuru ho gaya hein. Oscar awards ka event 19 March ko hona hein aur movie lovers 95th Academy awards ka wait kar rahe hein. Oscar Awards Hollywood ke sabse popular awards mein se ek hein aur iske telecast hone mein ab bahut kam time bacha hein. United State America ke Los Angeles mein jaldi hi stars ka mela lagne wala hein, jisse dekhne ke liye humare desh ke darshak bhi bahut utsuk hein.
Iss baar ke Oscar Awards India ke liye bahut khaas hein kyuki South Indian Blockbuster film ‘RRR’ bhi Oscar ki race mein shaamil hein isliye sabhi Indians iska besabri se intezar kar rahe hein. India ki side se ‘RRR’ ke song ‘Natu-Natu’ ke jeetne ki umeed hein. Sabse jyada 11 nominations ‘Everything Everywhere All At Once Ko Mile Hein’. Lekin darshako ke beech sawaal yaha uthta hein ki aakhir America mein hone wali iss Award Ceremony ko hum India mein bethe hue live kese, kab aur kaha dekh sakte hein to chaliye jaante hein.
Peeche saal ki taraha iss saal bhi Oscar Awards ka aayojan America ke Los Angeles city mein ‘Dolby Theater’ mein kiya jaa raha hein. 95th Academy Awards ko live Sunday night, 12 March ko raat 8 baje ABC PT par live kiya jaayega. Haalaki award ceremony ka India mein live telecast 13 March ko subaha 5:30 AM ko hoga. Isliye viewers ko isse live dekhne ke liye subaha jaldi uthana hoga. India mein darshako ke liye awards ki live streaming Disney+ Hotstar par ki jaayegi. Wahi iske alawa telecast ABC Network Cable, Ceiling TV, Hulu Plus Live TV, YouTube TV, aur Fubo TV par dekha jaa sakega.
Saal 2023 ka OScar India ke liye bahut khaas hein kyuki film “RRR” ka song Oscar mein nominate ho gaya hein. Isliye sabhi ki nigahe iss category Oscar par tiki rahegi. Iske saath hi bollywood actress Deepika Padukone, Jimmy Kimmel, aur The Rock ke saath hosting karti hui nazar aayengi. Yaha India ke liye Oscar aur bhi khaas bana deta hein.