Ek nutritionist aur cardiac expert ke according, in heart-healthy fruits ko adhik khaane se aapne jeevan mein years badh sakte hein. Yaha baat kisi se nahi chupi hein ki fruits kitne healthy aur nutritious hote hein. Par yaha aapko nahi pata hoga ki fruits khaane se aapke heart ki health bhi badh sakti hein. Current Medicinal Chemistry journal mein published 2019 ke ek study aur bahut si research se yaha pata chala hein ki other food ke beech fruits se bharpoor diet ka heart related protective prabhaav padta hein.
Fruits khana aapke ticker ke liye accha hein aur heart diseases ko rokne mein bhi help karta hein.Heart disease- vishwa star par world heath organization ke accroding number 1 killer. To humne pata lagaya hein ki aapko apni diet mein konse heart helty fruits ko shaamil karna chahayiea aur yaha bhi batayenge ke ki kese yaha fruits aap ke heart ki health ko badha sakte hein aur aapko lambe time tak jeene mein help kar sakte hein.
Blackberries heart ki health ke liye bahut impotant nutritions se bharpoor ek delicious fruit hein. Blackberries fibre, antioxidents, plolyphenols, flavonols, etc se bahrpoor hein. USDA ke according ek cup blackberry Vitamin C ke liye aapke daily value ka one-third se adikh aur aapke daily pottasium sevan ka 5% provide karta hein jo ki hearth health ke liye impotant nutrients hein. Blackberries ki taraha bue berries bhi nutrients se bharpoor hein. Ye chote jarur hein lekin soluble fibers se bharpoor hein, jo cholesrerol ko kam kar ke aant ki help kar ke heart health mein sudhaar karte hein.
Papaya mein potassium aur antioxidants Vitamin A aur C jese kai heart-friendly nutrients hote hein. Papaya potassium se bharpoor hein jo ki aapki blood vessels ko failakar heart health ko badhawa de sakte hein. Red grapes heart ko protect karne ke liye ek fantastic fruit hein. Red grapes heart ke saath saath swelling ko kam karne mein bhi hep karte h aur paani se bhi bharpoor hote hein. Raspberries ek important nutrient ke roop mein work karti hein USAD ke accordinh ek cup raspberry 8 gram fiber provide karti hein jo ki heart ke liye important hein.