Humari body ko kai nutrients (Poshak Tatv) ki jarurat hoti hein, aur sabhi nutirents alag alag taraha se body ko chalne mein mein apna role play karte hein. Calcium ek esa nutrient food hein jiski kami ki wajaha se bones weak hone lagti hein aur jodo mein pain start ho jata hein jisse kai logo ko chalne firne mein bhi dikkat hone lagti hein. Body mein sabse jyada weight bones ka hi hota hein aur yaha tak ki bones par hi humari body ka aadhaar tika hua hein. Bones ko strong banane ke liye calcium ki hi jyada jarurat hoti hein.
Calcium ki kami na ho iske liye hume apni diet mein calcium rich foods ko shaamil kar lena chahahyiea. To chaliye jaante kuch calcium rich foods ke baare mein jinki help se hum apni body mein calcium ki maatra ko badha sakte hein. Bharpoor calcium paane ke liye aap nuts ka option chunn sakte hein kyki ye vitamis, magnesium aur kai taharaha ke nutrients se bharpoor hote hein jese ki Almonds, Hazelnuts, aur walnuts etc.
Soyabean ko bhi calcium ka ek accha aur strong source maana jaata hein. Isme calcium ke saath saath iron aur protien bhi hota hein jo ki overall health ke liye bahut jaruri hein. Eggs aapki bones ke strong banane ke liye ek bahut accha source hein isliye apni diet mein isse jarur shaamil kare. Kyuki eggs mein calcium, protien aur Vitamin D paaya jata hein jisse bones strong banti hein.
Salmon fish calcium aur bahut saare poshak tatvo ka khazana hoto hein. Isme sufficient maatra mein calcium paaya jaata hein. Calcium ke saath saath Vitamin D bhi strong bones ke liye beneficial hein jo ki Salmon fish mein hota hein. Iske saath hi milk aur butter milk jese dairy products bhi calcium ke acche source hote hein. Bahit saari green vegetables aur fruits bhi hein jo calcium rich hote hein unhe bhi hum apni diet mein shaamil kar sakte hein.