4 Best Self Care Tips For Womens

Recently 8 March ko International Womens Day celebrate kiya gaya par hum ye bhool jaate hein ki womenhood (naaritva) ko har din manaya jaane chahayiea. Kyuki naari apno ki care aur khayal rakhne mein apna khud ki care aur khayal rakhna bhool jaati hein. Fir chahe wo ghar ke kaam ho ya bahar ka kuch kaam in sab ke beech waha khud ki care ke liye thoda time bhi nahi nikaal paati. Selcare karna selfish hona nahi hota fir chahe wo baalo ki oil massage karna ho, body oil massage karna ho ya healthy food khana ho.

Self Care Tips For Womens

Aaj hum inhi kuch Self Care tips ke baare mein discuss karenge jo har women ko apni life mein khud ke liye follow karna chayiea. Isme sabse pehli chiz jo hein wo hein hair care, dry, damage aur frizzy hairs bhala kisse pasand hein tbhi aaj kl hairfall ek badi problem ban gaya hein. Sirf sahi aur healthy food, baalo ko acche se wash aur dry karne aur proper oiling karne se bhi bahut benefit milta hein. Bhrigaraj ko baalo ke oils ka raja maana jata hein. Scalp mein blood circulation ko badawa dene ek acchi si hair massage se khud ko pamper kare aur relax feel kare.

Dusri important chiz hein skin care glowing skin aapko ander se bhi shine karne mein help kar sakti hein. Ek healthy sin care routine apnaye fir chahe wo healty food khana ho, hydrated rehna ho, ya CTM (cleansing, toning aur moisturising) ko follow karna ho jo aapki skin ko healthy banane mein help kate ho.

4 Best Self Care Tips For Womens

Regular fitness routine ke bina lifestyle complete nahi hota agar aap daily gym nahi jaate, na hi yoga join karte to koi baat nahi. Daily sirf 30 minute chalne (walk) karne se bhi aapko fitness mein help mil sakti hein. Day ke end mein hum wahi hote hein jo hum khaate hein isliye nutrients wale aur healty food ko apni diet mein shaamil karna bhi ek healty lifestyle aur self care ka part hein.

Leave a Comment