Japanese automakers Kawasaki ne India mein apni versys 1000 motorbike ka 2023 iteration launch kiya hein. Yahi nahi isse single trim mein pesh kiya gaya hein. Kawasaki India ne humare market mein 2023 vesys 1000 ko 12.19 Lakh Rs mein launch karne ki announcements ki hein. Yaha liter-class adventure-style sports tourer Indian market mein single variant aur ek colour option mein pesh kiya jaayega.
Agar aap yaha soch rahe hein ki 2023 Versys 1000 Kawasaki mein kuch styling changes kiye gaye hein to bata de ki c ka design 2022 model jesa hi hein. To iss taraha styling cues mein ek twin-pod headlight, fairing integrated cornering lights, ek adjustable windscreen, ek set-up sear design, el rear luggage rack aur ek side-slung exhaust bhi shaamil hein. Yaha avaiable only paint theme Metallic-Spark Black ke saath dual-tone Metallic Matte Graphenesteel grey hein.
Agar hum 2023 Kawasaki Versys 1000 ke features changes ke baare mein baat kare to iss motorcycle ki features ki list mein full-LED lighting, ek semi digital instrument cluster shaamil hein jisme LCD screen ke saath analogue-style tachometer, Kawasaki cornering management function, ABS traction controm system ke saath Bosh IMU (inertial management unit) shaamil hein. Assist aur slipper clutch, electronic cruise control, aur standard ke roop mein ek DC socket (pehele ek accessory ke roop mein becha gaya.
Kawasaki Versys 1000 ka 2023 version attractive look, features ki ek lambi list aur acchi performance provide karta hein. Yaha 1,043cc ki, inline four-cylinder, liquid-cooled engine se bijli khichta hein jo 118.2hp ki maximum power generate karta hein. Sports tourer ko standard ke roop mein phone charge karne ke liye DC socket milta hein aur expectations hein ki humare shores par market mein competition badh jaayegi. To India mein, 2023 Kawasaki Versys ki keemat 12.19 lakh Rs (ex-showroom). Premium bike single trim ke saath-saath ek hi color option mein available hein.